Sunday, 5 May 2019

Karwane Zindagi

Hasti gir girke khud seekhne ka kaam hai
Raahe ustaade kaamil kise yaad nahi

Anjaani gehrayion mai hosh gawana pasand hai
Warna tamaniate saahil kise yaad nahi

Phir aatishe gulaab mai doobne chala hoon
Darde shikasta dil kise yaad nahi

Ye koh ki bulandi aur ye duniya ka nazaara
Magar wo gamme raahe mushkil kise yaad nahi

Ishqe hasti hamein kyun na ho faisal
Wo Hatmi Farmaane-qaatil kise yaad nahi